Kyun...
Kyun zindagi ki hakikaton se bhaagte hain log
Kyun har kadam naqab odhe mil jaate hain log.
Woh asliyat ka zamaana raha hi nahi ab
Ki zahar mein bhi milawat kar jaate hain log.
Kyun...
Zindagi rahti hai to aapsi prem barkarar rahta hai
Marne ke baad kisi ki rooh se bhi ghabraate hain log.
Kyun...
Zinda tha to bahut sataaya tha zamaane ne usko
Maut kya hui, taarif karte nazar aate hain log.
Kyun...
Yeh sach hai ki daulat se khushi kharidi nahi jaati
Garibi mein bhi dekha hai humne muskuraate hai log.
Kyun...